Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil jis waqt akela hoga

Sughra Sadaf

dil jis waqt akela hoga

Sughra Sadaf

MORE BYSughra Sadaf

    dil jis vaqt akelā hogā

    terī yaad meñ Duubā hogā

    pahle-pahal ye kab sochā thā

    mujhe itnā pyārā hogā

    har-sū ḳhvāb-nagar meñ ik din

    terī yaad pahra hogā

    chāñdnī raat meñ chupke chupke

    koī jhiil meñ utrā hogā

    yādoñ ke sahrā meñ kal phir

    bādal TuuT ke barsā hogā

    dil kyā hai dil dīvāna

    tere dhyān meñ khoyā hogā

    darvāze par dastak sun kar

    merā soch ke dauḌā hogā

    maiñ bhī raat ko so nahīñ paa.ī

    sakhiyo vo bhī jaagā hogā

    apne dil har ik jazba

    ḳhat meñ us ne likkhā hogā

    soch rahī huuñ kin āñkhoñ meñ

    mustaqbil sapnā hogā

    us par hogā terā jaadū

    jis ne tujh ko dekhā hogā

    aaj 'sadaf' maiñ behad ḳhush huuñ

    aaj us se phir milnā hogā

    dil jis waqt akela hoga

    teri yaad mein Duba hoga

    pahle-pahal ye kab socha tha

    tu mujhe itna pyara hoga

    har-su KHwab-nagar mein ek din

    teri yaad ka pahra hoga

    chandni raat mein chupke chupke

    koi jhil mein utra hoga

    yaadon ke sahra mein kal phir

    baadal TuT ke barsa hoga

    dil ka kya hai dil diwana

    tere dhyan mein khoya hoga

    darwaze par dastak sun kar

    mera soch ke dauDa hoga

    main bhi raat ko so nahin pai

    sakhiyo wo bhi jaga hoga

    apne dil ka har ek jazba

    KHat mein us ne likkha hoga

    soch rahi hun kin aankhon mein

    mustaqbil ka sapna hoga

    us par hoga tera jadu

    jis ne tujh ko dekha hoga

    aaj 'sadaf' main behad KHush hun

    aaj us se phir milna hoga

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now