dil jise chahe wahi chehra jabin lagta hai
dil jise chāhe vahī chehra jabīñ lagtā hai
apne siine kā har ek daaġh hasīñ lagtā hai
maiñ kahīñ bhī huuñ magar huuñ usī mahfil kā charāġh
vo jahāñ bhī ho mire dil kā makīñ lagtā hai
dūsrī baar na maiñ pahuñchā vahāñ aur na vo
phir bhī mela hai ki har saal vahīñ lagtā hai
sarhad-e-ġham ke ilāqoñ meñ idhar ho ki udhar
mujh ko har dasht ġhazal hī kī zamīñ lagtā hai
dil jise chahe wahi chehra jabin lagta hai
apne sine ka har ek dagh hasin lagta hai
main kahin bhi hun magar hun usi mahfil ka charagh
wo jahan bhi ho mere dil ka makin lagta hai
dusri bar na main pahuncha wahan aur na wo
phir bhi mela hai ki har sal wahin lagta hai
sarhad-e-gham ke ilaqon mein idhar ho ki udhar
mujh ko har dasht ghazal hi ki zamin lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.