dil jo baiTha to iztirab uTha
dil jo baiThā to iztirāb uThā
bazm-e-jānāñ ab inqalāb uThā
aaj vaa.iz se baat karnī hai
sāqiyā chal zarā sharāb uThā
qābiliyyat kā ro.ab Dālne ko
koī moTī sī ik kitāb uThā
raah chalte paḌe bhī milte haiñ
khulī āñkhoñ se koī ḳhvāb uThā
ranj uThāne kī un se Thahrī thī
ye kahāñ se dil-e-ḳharāb uThā
kyā charāġhoñ ko le ke baiThā hai
aa mire saath āftāb uThā
‘ḳhizr’-e-mai-nosh mai-kada meñ jhuuT
chal qasam khā uThā sharāb uThā
dil jo baiTha to iztirab uTha
bazm-e-jaanan ab inqalab uTha
aaj waiz se baat karni hai
saqiya chal zara sharab uTha
qabiliyyat ka roab Dalne ko
koi moTi si ek kitab uTha
rah chalte paDe bhi milte hain
khuli aankhon se koi KHwab uTha
ranj uThane ki un se Thahri thi
ye kahan se dil-e-KHarab uTha
kya charaghon ko le ke baiTha hai
aa mere sath aaftab uTha
‘KHizr’-e-mai-nosh mai-kada mein jhuT
chal qasam kha uTha sharab uTha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.