dil jo dard-ashna nahin hota
dil jo dard-āshnā nahīñ hotā
vo kisī kaam kā nahīñ hotā
ġham agar shāmil-e-hayāt na ho
ziist kā haq adā nahīñ hotā
dil nahīñ hai vo aur hī kuchh hai
jis meñ kuchh mudda.ā nahīñ hotā
zindagī be-nashāt lagtī hai
dard jab tak sivā nahīñ hotā
ab 'ziyā' kyā sunā.e hāl-e-dil
kuchh zabāñ se adā nahīñ hotā
dil jo dard-ashna nahin hota
wo kisi kaam ka nahin hota
gham agar shamil-e-hayat na ho
zist ka haq ada nahin hota
dil nahin hai wo aur hi kuchh hai
jis mein kuchh muddaa nahin hota
zindagi be-nashat lagti hai
dard jab tak siwa nahin hota
ab 'ziya' kya sunae haal-e-dil
kuchh zaban se ada nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.