dil jo pahle hi se mahw-e-ruKH-e-jaanan hota
dil jo pahle hi se mahw-e-ruKH-e-jaanan hota
Munshi Thakur Parsad Talib
MORE BYMunshi Thakur Parsad Talib
dil jo pahle hī se mahv-e-ruḳh-e-jānāñ hotā
kis liye zulf meñ phañstā jo pareshāñ hotā
ḳhaal kyūñkar na qarīb-e-ruḳh-e-jānāñ hotā
daulat-e-husn kā koī to nigahbāñ hotā
jazb karne ko na gar gosha-e-dāmāñ hotā
mere ashkoñ se bapā nuuh kā tūfāñ hotā
jalva-e-mus.haf-e-āriz jo nazar aa jaatā
hindavī ḳhaal bhī sau jaañ se musalmāñ hotā
qadr dīvānoñ kī sahrā-e-junūñ gar kartā
ḳhaar tak baḳhiya-gar-e-chāk-e-garebāñ hotā
rang to ḳhair masīhā.ī kahāñ se laatā
kyoñ ḳhajil lab se tire la.al na ījāñ hotā
qais-o-farhād kā phir naam na letā koī
mujh se ābād na gar koh-o-bayābāñ hotā
rū-kash-e-chehra-e-dildār vo hotā kyūñkar
daaġh khātā jo muqābil mah-e-kan.āñ hotā
dil se gar shauq shahādat kā na hotā mujh ko
misl-e-gul zaḳhm-e-jigar kis liye ḳhandāñ hotā
maiñ vo majnūñ huuñ ki sahrā meñ qadam gar rakhtā
aa ke pā-bos vahīñ ḳhār-e-muġhīlāñ hotā
beḌiyāñ toḌ ke ham zulf meñ jā kar phañste
gar kahīñ josh-e-junūñ silsila-jumbāñ hotā
aabrū vo mire rone kī jo kartā kuchh bhī
ashk se mere ḳhajil gauhar-e-ġhaltāñ hotā
bahra gar daulat-e-islām se kāfir paatā
ḳhāl-e-ruḳhsār-e-sanam hāfiz-e-qur.āñ hotā
ādat-e-rahm hasīnoñ meñ nahīñ jab 'tālib'
kyoñ mire qatl se vo turk pashemāñ hotā
dil jo pahle hi se mahw-e-ruKH-e-jaanan hota
kis liye zulf mein phansta jo pareshan hota
KHal kyunkar na qarib-e-ruKH-e-jaanan hota
daulat-e-husn ka koi to nigahban hota
jazb karne ko na gar gosha-e-daman hota
mere ashkon se bapa nuh ka tufan hota
jalwa-e-mushaf-e-ariz jo nazar aa jata
hindawi KHal bhi sau jaan se musalman hota
qadr diwanon ki sahra-e-junun gar karta
KHar tak baKHiya-gar-e-chaak-e-gareban hota
rang to KHair masihai kahan se lata
kyon KHajil lab se tere lal na ijaan hota
qais-o-farhad ka phir nam na leta koi
mujh se aabaad na gar koh-o-bayaban hota
ru-kash-e-chehra-e-dildar wo hota kyunkar
dagh khata jo muqabil mah-e-kanan hota
dil se gar shauq shahadat ka na hota mujh ko
misl-e-gul zaKHm-e-jigar kis liye KHandan hota
main wo majnun hun ki sahra mein qadam gar rakhta
aa ke pa-bos wahin KHar-e-mughilan hota
beDiyan toD ke hum zulf mein ja kar phanste
gar kahin josh-e-junun silsila-jumban hota
aabru wo mere rone ki jo karta kuchh bhi
ashk se mere KHajil gauhar-e-ghaltan hota
bahra gar daulat-e-islam se kafir pata
KHal-e-ruKHsar-e-sanam hafiz-e-quran hota
aadat-e-rahm hasinon mein nahin jab 'talib'
kyon mere qatl se wo turk pasheman hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.