Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ka ajib haal hai teri sada ke baad

Mahmood Shaam

dil ka ajib haal hai teri sada ke baad

Mahmood Shaam

MORE BYMahmood Shaam

    dil ajiib haal hai terī sadā ke ba.ad

    jaise ki āsmān manzar ghaTā ke ba.ad

    kyā kyā nuqūsh ham ne ubhāre the ret par

    baaqī rahā na koī bhī vahshī havā ke ba.ad

    bikhrī huī thiiñ chār-sū phūloñ pattiyāñ

    gulshan sañvar sañvar gayā bād-e-sadā ke ba.ad

    ab tak fazā meñ gūñjtī hai ek naġhmagī

    saarā jahāñ raqs meñ hai is sadā ke ba.ad

    ab tak jalā rahī hai hameñ tohmatoñ dhuup

    ham to ujaaḌ ho ga.e fasl-e-vafā ke ba.ad

    yādeñ khule kivāḌ ye mahkī huī fazā

    kaun aa rahā hai shaam ye ThanDī havā ke ba.ad

    dil ka ajib haal hai teri sada ke baad

    jaise ki aasman ka manzar ghaTa ke baad

    kya kya nuqush hum ne ubhaare the ret par

    baqi raha na koi bhi wahshi hawa ke baad

    bikhri hui thin chaar-su phulon ki pattiyan

    gulshan sanwar sanwar gaya baad-e-sada ke baad

    ab tak faza mein gunjti hai ek naghmagi

    sara jahan hi raqs mein hai is sada ke baad

    ab tak jala rahi hai hamein tohmaton ki dhup

    hum to ujaD ho gae fasl-e-wafa ke baad

    yaaden khule kiwaD ye mahki hui faza

    kaun aa raha hai sham ye ThanDi hawa ke baad

    Source :
    • Book : chera chera mery kahani (Pg. 37)
    • Author : mahmood shaam
    • Publication : welcom book port,main urdu bazar karachi (2005)
    • Edition : 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now