dil ka aur haal mazafat ka kab achchha hai
dil kā aur haal mazāfāt kā kab achchhā hai
par tujhe dekh ke lagtā hai ki sab achchhā hai
ek tasvīr meñ lagtā hai ki ham bhī ḳhush the
ek āvāz se lagtā hai ki sab achchhā hai
merī duniyā meñ koī chiiz Thikāne pe nahīñ
bas tujhe dekh ke lagtā hai ki sab achchhā hai
sochne baiTheñ to islāh kī sūrat hī nahīñ
dekhne meñ yahī lagtā hai ki sab achchhā hai
ye qatāreñ tere bīmār ke dīdār kī haiñ
tū ne jab shor machā rakhā thā ab achchhā hai
koī ustād kī islāh kī sūrat yā-rab
ilm behtar hai na hazrat kā adab achchhā hai
logoñ ko ā.īna dikhlā.eñ na patthar khā.eñ
archimedes ke liye bath kā tub achchhā hai
dil ka aur haal mazafat ka kab achchha hai
par tujhe dekh ke lagta hai ki sab achchha hai
ek taswir mein lagta hai ki hum bhi KHush the
ek aawaz se lagta hai ki sab achchha hai
meri duniya mein koi chiz Thikane pe nahin
bas tujhe dekh ke lagta hai ki sab achchha hai
sochne baiThen to islah ki surat hi nahin
dekhne mein yahi lagta hai ki sab achchha hai
ye qataren tere bimar ke didar ki hain
tu ne jab shor macha rakha tha ab achchha hai
koi ustad ki islah ki surat ya-rab
ilm behtar hai na hazrat ka adab achchha hai
logon ko aaina dikhlaen na patthar khaen
archimedes ke liye bath ka tub achchha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.