dil ka bura nahin magar shaKHs ajib Dhab ka hai
dil kā burā nahīñ magar shaḳhs ajiib Dhab kā hai
mujh se hai ḳhaas dushmanī vaise to yaar sab kā hai
dūriyoñ ne miTā diye jo bhī the qurbatoñ ke rañj
ab mirī baat baat meñ rañg tirī talab kā hai
mere lahū meñ thī ravāñ jab tire saañs kī mahak
jaane ye kab kī baat hai jaane ye zikr kab kā hai
ek zarā sī baat par badlī thī jab tirī nazar
tujh ko ḳhabar nahīñ magar dil to udaas tab kā hai
kyuuñ na dil-e-ḳhizāñ-nasīb har gul-e-tar ko chuum le
aaj to phuul phuul meñ zā.iqa us ke lab kā hai
kaif-o-nashāt-o-sar-ḳhushī nemateñ sab usī kī haiñ
mujh ko atā kiyā huā dard bhī mere rab kā hai
shaukat-o-shān-e-īzdī dil ne kahāñ se siikh lī
sab se hai be-niyāz bhī dhyān bhī us ko sab kā hai
raah dikhā.ī tak na dī tīra-shabī balā kī thī
aañkh na khul sakī mirī nuur bhī is ġhazab kā hai
hashr kā din bhī ho to kyā ye bhī nasīb hai mirā
din hai guzar hī jā.egā ḳhauf to mujh ko shab kā hai
dil ka bura nahin magar shaKHs ajib Dhab ka hai
mujh se hai KHas dushmani waise to yar sab ka hai
duriyon ne miTa diye jo bhi the qurbaton ke ranj
ab meri baat baat mein rang teri talab ka hai
mere lahu mein thi rawan jab tere sans ki mahak
jaane ye kab ki baat hai jaane ye zikr kab ka hai
ek zara si baat par badli thi jab teri nazar
tujh ko KHabar nahin magar dil to udas tab ka hai
kyun na dil-e-KHizan-nasib har gul-e-tar ko chum le
aaj to phul phul mein zaiqa us ke lab ka hai
kaif-o-nashat-o-sar-KHushi nematen sab usi ki hain
mujh ko ata kiya hua dard bhi mere rab ka hai
shaukat-o-shan-e-izdi dil ne kahan se sikh li
sab se hai be-niyaz bhi dhyan bhi us ko sab ka hai
rah dikhai tak na di tira-shabi bala ki thi
aankh na khul saki meri nur bhi is ghazab ka hai
hashr ka din bhi ho to kya ye bhi nasib hai mera
din hai guzar hi jaega KHauf to mujh ko shab ka hai
- Book : Deewar pe dastak (Pg. 941)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.