dil ka daftar jala ke dekha hai
dil kā daftar jalā ke dekhā hai
ḳhuun apnā bahā ke dekh hai
ek rattī bhī nahīñ vo bā-zauq
sher ham ne sunā ke dekhā hai
kārgar kuchh bhī nahīñ ho paayā
apnā sab kuchh luTā ke dekhā hai
un ke dil meñ nahīñ mirī chāhat
haath ham ne dabā ke dekhā hai
raushnī phir bhī ho nahīñ paa.ī
ham ne dil tak jalā ke dekhā hai
bhūltā hī nahīñ use ye dil
ham ne 'farruḳh' bhulā ke dekhā hai
dil ka daftar jala ke dekha hai
KHun apna baha ke dekh hai
ek ratti bhi nahin wo ba-zauq
sher hum ne suna ke dekha hai
kargar kuchh bhi nahin ho paya
apna sab kuchh luTa ke dekha hai
un ke dil mein nahin meri chahat
hath hum ne daba ke dekha hai
raushni phir bhi ho nahin pai
hum ne dil tak jala ke dekha hai
bhulta hi nahin use ye dil
hum ne 'farruKH' bhula ke dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.