dil ka darwaza khula ho jaise
dil kā darvāza khulā ho jaise
aur koī jhāñk rahā ho jaise
dhyān terā sahar-o-shām nahīñ
tū mujhe bhuul gayā ho jaise
dil meñ kuchh aur laboñ par kuchh aur
tark-e-ulfat kī duā ho jaise
phir vahī zulm vahī ḳhalq-e-ḳhudā
ḳhushk pattoñ meñ havā ho jaise
shahr-e-bedād meñ hubb-ul-vatanī
ik munāfiq kī vafā ho jaise
dard be-nūr huā jaatā hai
kam-nigāhī kī sazā ho jaise
daf.atan zehn meñ vo gardish-e-mai
ik bagūlā sā uThā ho jaise
muddatoñ ba.ad sar-e-rāhguzar
ajnabī koī milā ho jaise
jur.a-o-lams kī daryūza-garī
ruuh meñ qaht paḌā ho jaise
yaad yuuñ dil se guzartī hai 'munīr'
dasht meñ ābla-pā ho jaise
dil ka darwaza khula ho jaise
aur koi jhank raha ho jaise
dhyan tera sahar-o-sham nahin
tu mujhe bhul gaya ho jaise
dil mein kuchh aur labon par kuchh aur
tark-e-ulfat ki dua ho jaise
phir wahi zulm wahi KHalq-e-KHuda
KHushk patton mein hawa ho jaise
shahr-e-bedad mein hubb-ul-watani
ek munafiq ki wafa ho jaise
dard be-nur hua jata hai
kam-nigahi ki saza ho jaise
dafatan zehn mein wo gardish-e-mai
ek bagula sa uTha ho jaise
muddaton baad sar-e-rahguzar
ajnabi koi mila ho jaise
jura-o-lams ki daryuza-gari
ruh mein qaht paDa ho jaise
yaad yun dil se guzarti hai 'munir'
dasht mein aabla-pa ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.