dil ka gham aashkar karta hai
dil kā ġham āshkār kartā hai
jaan koī nisār kartā hai
tum ko ma.alūm hai koī insān
tum ko ḳhāmosh pyaar kartā hai
mausam-e-hijr meñ use dekho
intizār-e-bahār kartā hai
merā dushman hai dost se behtar
sāmne se to vaar kartā hai
jis ke saa.e meñ roz milte the
vo shajar intizār kartā hai
dil ka gham aashkar karta hai
jaan koi nisar karta hai
tum ko malum hai koi insan
tum ko KHamosh pyar karta hai
mausam-e-hijr mein use dekho
intizar-e-bahaar karta hai
mera dushman hai dost se behtar
samne se to war karta hai
jis ke sae mein roz milte the
wo shajar intizar karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.