dil ka gulshan jala gae kanTe
dil kā gulshan jalā ga.e kāñTe
un kī yādeñ miTā ga.e kāñTe
ab zarūrat nahīñ rahī gul kī
itnī kasrat se aa ga.e kāñTe
ziist meñ rah ga.ī chubhan hī chubhan
aisā qabza jamā ga.e kāñTe
gul hī kyā gulsitāñ bhī hairāñ hai
is qadar mujh ko bhā ga.e kāñTe
ab to ḳhushiyoñ kī bū nahīñ miltī
har taraf ġham ke chhā ga.e kāñTe
un pe kaliyāñ bhī ho ga.iiñ shaidā
os meñ yuuñ nahā ga.e kāñTe
kyā kiyā tum ne ajnabī mohsin
raah se kyoñ haTā ga.e kāñTe
ab phaTā jā rahā hai merā dimāġh
kaisī ḳhushbū basā ga.e kāñTe
maiñ to mohsin unheñ samajhtā rahā
nafrateñ kyoñ baḌhā ga.e kāñTe
mujh ko ehsās tak na ho paayā
dost ban kar samā ga.e kāñTe
ham tumhāre bane rahe ham-dam
ḳhuub ehsāñ jatā ga.e kāñTe
roz-o-shab kā rahā na farq koī
niiñd aisī sulā ga.e kāñTe
kam nahīñ ham pe un kā ye ehsāñ
ramz-e-duniyā batā ga.e kāñTe
kaise azbar kitāb hotī mujhe
har sabaq phir bhulā ga.e kāñTe
jaise sāthī janam ke hoñ 'qudsī'
yuuñ gale se lagā ga.e kāñTe
dil ka gulshan jala gae kanTe
un ki yaaden miTa gae kanTe
ab zarurat nahin rahi gul ki
itni kasrat se aa gae kanTe
zist mein rah gai chubhan hi chubhan
aisa qabza jama gae kanTe
gul hi kya gulsitan bhi hairan hai
is qadar mujh ko bha gae kanTe
ab to KHushiyon ki bu nahin milti
har taraf gham ke chha gae kanTe
un pe kaliyan bhi ho gain shaida
os mein yun naha gae kanTe
kya kiya tum ne ajnabi mohsin
rah se kyon haTa gae kanTe
ab phaTa ja raha hai mera dimagh
kaisi KHushbu basa gae kanTe
main to mohsin unhen samajhta raha
nafraten kyon baDha gae kanTe
mujh ko ehsas tak na ho paya
dost ban kar sama gae kanTe
hum tumhaare bane rahe ham-dam
KHub ehsan jata gae kanTe
roz-o-shab ka raha na farq koi
nind aisi sula gae kanTe
kam nahin hum pe un ka ye ehsan
ramz-e-duniya bata gae kanTe
kaise azbar kitab hoti mujhe
har sabaq phir bhula gae kanTe
jaise sathi janam ke hon 'qudsi'
yun gale se laga gae kanTe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.