dil ka haq yun ada kare koi
dil kā haq yuuñ adā kare koī
dard ban kar rahā kare koī
dard meñ kuchh kamī sī lagtī hai
zaḳhm phir se harā kare koī
pahle rakh le vo jaañ hathelī par
phir mohabbat kiyā kare koī
husn kī ḳhud-supurdagī ke liye
'ishq kī intihā kare koī
mujh ko allāh par bharosa hai
ho jo dushman huā kare koī
jaane kyā kyā ye kahtā rahtā hai
kaise dil kā kahā kare koī
jab vafāoñ kī koī qadr nahīñ
kyoñ kisī se vafā kare koī
chhīn leñ jo kisī kī bīnā.ī
un ujāloñ kā kyā kare koī
ruḳh havāoñ kā dekh le pahle
jab bhī raushan diyā kare koī
rakhe malhūz haq-bayānī ko
shā'irī jab kiyā kare koī
sab yahāñ ajnabī se haiñ 'fārūq'
kis ko apnā kahā kare koī
dil ka haq yun ada kare koi
dard ban kar raha kare koi
dard mein kuchh kami si lagti hai
zaKHm phir se hara kare koi
pahle rakh le wo jaan hatheli par
phir mohabbat kiya kare koi
husn ki KHud-supurdagi ke liye
'ishq ki intiha kare koi
mujh ko allah par bharosa hai
ho jo dushman hua kare koi
jaane kya kya ye kahta rahta hai
kaise dil ka kaha kare koi
jab wafaon ki koi qadr nahin
kyon kisi se wafa kare koi
chhin len jo kisi ki binai
un ujalon ka kya kare koi
ruKH hawaon ka dekh le pahle
jab bhi raushan diya kare koi
rakhe malhuz haq-bayani ko
sha'iri jab kiya kare koi
sab yahan ajnabi se hain 'faruq'
kis ko apna kaha kare koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.