dil ka har qatra-e-KHun rang-e-hina se mango
dil ka har qatra-e-KHun rang-e-hina se mango
Malikzaada Manzoor Ahmad
MORE BYMalikzaada Manzoor Ahmad
dil kā har qatra-e-ḳhūñ rañg-e-hinā se māñgo
ḳhūñ-bahā dosto qātil kī adā se māñgo
mat banāo yad-e-baizā ko gadā kā kashkol
vaqt fir.aun ho jab zarb-e-asā se māñgo
jab barasne se baḌhe tishna-labī kā ehsās
yūrish-e-barq hī sāvan kī ghaTā se māñgo
kab talak shāḳh-e-vafā lā.egī zaḳhmoñ ke gulāb
koī tāsīr na.ī āb-o-havā se māñgo
mom kī tarah pighal jā.egā shab kā faulād
dast-e-dā.ūd kī taufīq ḳhudā se māñgo
dil ka har qatra-e-KHun rang-e-hina se mango
KHun-baha dosto qatil ki ada se mango
mat banao yad-e-baiza ko gada ka kashkol
waqt firaun ho jab zarb-e-asa se mango
jab barasne se baDhe tishna-labi ka ehsas
yurish-e-barq hi sawan ki ghaTa se mango
kab talak shaKH-e-wafa laegi zaKHmon ke gulab
koi tasir nai aab-o-hawa se mango
mom ki tarah pighal jaega shab ka faulad
dast-e-daud ki taufiq KHuda se mango
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.