dil ka har saz chhiDa saz baje hain dil mein
dil kā har saaz chhiḌā saaz baje haiñ dil meñ
tū jo aayā to ka.ī phuul khile haiñ dil meñ
ye bhī mumkin thā ki bach jaatā ta.alluq lekin
ham ko mālūm nahīñ thā ki gile haiñ dil meñ
raushnī ḳhud hī tujhe merā pata de degī
kyūñki yādoñ ke ka.ī diip jale haiñ dil meñ
ye jo sannāTā mirī ruuh meñ utrā thā kabhī
us ne afsāne na.e dekh bune haiñ dil meñ
ek hī shaḳhs thā duniyā meñ mohabbat ke liye
baaqī to bhartī ke ahbāb rakhe haiñ dil meñ
ham se iz.hār kī jur.at na huī thī varna
tujh ko batlāte ki kyā ḳhvāb saje haiñ dil meñ
rū-ba-rū ashk-e-nadāmat to bahe vo 'fahmī'
jis ke tūfān ka.ī saal rahe haiñ dil meñ
dil ka har saz chhiDa saz baje hain dil mein
tu jo aaya to kai phul khile hain dil mein
ye bhi mumkin tha ki bach jata talluq lekin
hum ko malum nahin tha ki gile hain dil mein
raushni KHud hi tujhe mera pata de degi
kyunki yaadon ke kai dip jale hain dil mein
ye jo sannaTa meri ruh mein utra tha kabhi
us ne afsane nae dekh bune hain dil mein
ek hi shaKHs tha duniya mein mohabbat ke liye
baqi to bharti ke ahbab rakhe hain dil mein
hum se izhaar ki jurat na hui thi warna
tujh ko batlate ki kya KHwab saje hain dil mein
ru-ba-ru ashk-e-nadamat to bahe wo 'fahmi'
jis ke tufan kai sal rahe hain dil mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.