dil ka jo haal hua dushman-e-jaani ka na ho
dil kā jo haal huā dushman-e-jānī kā na ho
āḳhir-e-shab kabhī āġhāz kahānī kā na ho
log kyā jāneñ ki guzre hue mausam kyā the
jab qabā par koī paivand nishānī kā na ho
ham kahāñ qaid meñ rah sakte the lekin tirā haath
hai vo zanjīr ki ehsās girānī kā na ho
muskurātā huuñ to aksar ye ḳhayāl aatā hai
aañkh meñ nam abhī barse hue paanī kā na ho
'arz-e-ahvāl pe duniyā mirā muñh dekhtī hai
jaise rishta koī alfāz-o-ma'ānī kā na ho
aur kuchh der abhī sair-e-sar-e-sāhil kar leñ
jab talak hukm safīne ko ravānī kā na ho
dil ka jo haal hua dushman-e-jaani ka na ho
aaKHir-e-shab kabhi aaghaz kahani ka na ho
log kya jaanen ki guzre hue mausam kya the
jab qaba par koi paiwand nishani ka na ho
hum kahan qaid mein rah sakte the lekin tera hath
hai wo zanjir ki ehsas girani ka na ho
muskuraata hun to aksar ye KHayal aata hai
aankh mein nam abhi barse hue pani ka na ho
'arz-e-ahwal pe duniya mera munh dekhti hai
jaise rishta koi alfaz-o-ma'ani ka na ho
aur kuchh der abhi sair-e-sar-e-sahil kar len
jab talak hukm safine ko rawani ka na ho
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 74)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.