dil ka KHayal karne ka kis ko malal hai
dil kā ḳhayāl karne kā kis ko malāl hai
tere ḳhayālī 'ishq kā ham se savāl hai
ab jang ke sivā nahīñ āsār haiñ koī
aadhā jahāñ nihattā hai aadhā nidhāl hai
dil meñ tamām rang the aur holī jal ga.ī
aaj aañkh se hamārī Tapaktā gulāl hai
hijrāñ hai 'āshiqī kī haqīqat so 'ishq meñ
'āshiq ko pur-firāq yahāñ kā visāl hai
us ke badan pe dekhī haiñ būñdeñ pasīne kī
kyā chāñdnī pe gir gayā motī kā thaal hai
dil ka KHayal karne ka kis ko malal hai
tere KHayali 'ishq ka hum se sawal hai
ab jang ke siwa nahin aasar hain koi
aadha jahan nihatta hai aadha nidhaal hai
dil mein tamam rang the aur holi jal gai
aaj aankh se hamari Tapakta gulal hai
hijran hai 'ashiqi ki haqiqat so 'ishq mein
'ashiq ko pur-firaq yahan ka visal hai
us ke badan pe dekhi hain bunden pasine ki
kya chandni pe gir gaya moti ka thaal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.