dil ka maqsum tha mahw-e-gham-e-jaanan hona
dil kā maqsūm thā mahv-e-ġham-e-jānāñ honā
usī ā.īne se sīkhe koī hairāñ honā
apnī hī anjuman-e-shauq meñ ho naġhma-sarā
tang hai ġhair kī mahfil meñ ġhazal-ḳhvāñ honā
zindagī kyā hai tirī yaad tirā zikr-e-jamīl
bandagī kyā hai tire naam pe qurbāñ honā
dil ye kahtā hai pashemān-e-mohabbat ho jā
dard kahtā hai na minnat-kash-e-darmāñ honā
un se itnā na huā pursish-e-ġham hī karte
ham se dekhā na gayā jin kā pareshāñ honā
mujh ko ḳhush aa na sakā ġhairat-e-dīnī se farār
un ko raas aa gayā ġhārat-gar-e-īmāñ honā
āshiqī zabt hai aur zabt hai ra.anā.ī-e-zīst
ishq kī shaan nahīñ chāk-garebāñ honā
mujh ko un shoḳh nigāhoñ ne banāyā kāfir
jin ko manzūr na thā merā musalmāñ honā
haa.e us ashk-e-jigar-soz kī qismat 'fārūq'
jis kī qismat na ho palkoñ pe farozāñ honā
dil ka maqsum tha mahw-e-gham-e-jaanan hona
usi aaine se sikhe koi hairan hona
apni hi anjuman-e-shauq mein ho naghma-sara
tang hai ghair ki mahfil mein ghazal-KHwan hona
zindagi kya hai teri yaad tera zikr-e-jamil
bandagi kya hai tere nam pe qurban hona
dil ye kahta hai pasheman-e-mohabbat ho ja
dard kahta hai na minnat-kash-e-darman hona
un se itna na hua pursish-e-gham hi karte
hum se dekha na gaya jin ka pareshan hona
mujh ko KHush aa na saka ghairat-e-dini se farar
un ko ras aa gaya ghaarat-gar-e-iman hona
aashiqi zabt hai aur zabt hai ranai-e-zist
ishq ki shan nahin chaak-gareban hona
mujh ko un shoKH nigahon ne banaya kafir
jin ko manzur na tha mera musalman hona
hae us ashk-e-jigar-soz ki qismat 'faruq'
jis ki qismat na ho palkon pe farozan hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.