dil ka mausam hai ajab tujhse mulaqat ke baad
dil kā mausam hai 'ajab tujh se mulāqāt ke baa'd
jaise jaltā huā jangal koī barsāt ke baa'd
talḳhī-e-hijr kā afsāna sunāne ke liye
kitnī rāteñ haiñ tire qurb kī ik raat ke baa'd
pahlī baar aa.ina sach bol rahā ho jaise
apnī pahchān huī tujh se mulāqāt ke baa'd
ham to samjhe the use dushman-e-dil qātil-e-jāñ
kyā kaheñ badlī huī sūrat-e-hālāt ke baa'd
rū-barū tere zabāñ par to na laa.e lekin
ham ne sochīñ ka.ī bāteñ tirī har baat ke baa'd
dil ne tai kī hai rifāqat kī ye manzil tanhā
hosh to chhoḌ gayā saath tire saath ke baa'd
dil ka mausam hai 'ajab tujh se mulaqat ke ba'd
jaise jalta hua jangal koi barsat ke ba'd
talKHi-e-hijr ka afsana sunane ke liye
kitni raaten hain tere qurb ki ek raat ke ba'd
pahli bar aaina sach bol raha ho jaise
apni pahchan hui tujh se mulaqat ke ba'd
hum to samjhe the use dushman-e-dil qatil-e-jaan
kya kahen badli hui surat-e-haalat ke ba'd
ru-baru tere zaban par to na lae lekin
hum ne sochin kai baaten teri har baat ke ba'd
dil ne tai ki hai rifaqat ki ye manzil tanha
hosh to chhoD gaya sath tere sath ke ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.