dil ka muamla wahi mahshar wahi raha
dil kā mu'āmla vahī mahshar vahī rahā
ab ke baras bhī raat kā muntazir vahī rahā
naumīd ho ga.e to sabhī dost uTh ga.e
vo said-e-intiqām thā dar par vahī rahā
saarā hujūm pā-piyāda chūñ-kī darmiyāñ
sirf ek hī savār thā rahbar vahī rahā
sab log sach hai bā-hunar the phir bhī kāmyāb
ye kaisā ittifāq thā aksar vahī rahā
ye irtiqā kā faiz thā yā mahz hādisa
meñDak to fīl-pā hue azhdar vahī rahā
sab ko hurūf-e-iltijā ham nazr kar chuke
dushman to mom ho ga.e patthar vahī rahā
dil ka mu'amla wahi mahshar wahi raha
ab ke baras bhi raat ka muntazir wahi raha
naumid ho gae to sabhi dost uTh gae
wo said-e-intiqam tha dar par wahi raha
sara hujum pa-piyaada chun-ki darmiyan
sirf ek hi sawar tha rahbar wahi raha
sab log sach hai ba-hunar the phir bhi kaamyab
ye kaisa ittifaq tha aksar wahi raha
ye irtiqa ka faiz tha ya mahz hadisa
meinDak to fil-pa hue azhdar wahi raha
sab ko huruf-e-iltija hum nazr kar chuke
dushman to mom ho gae patthar wahi raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.