dil ka sahra Khaali hai
dil kā sahrā ḳhālī hai
aañkh kā dariyā ḳhālī hai
ronā-dhonā bachchoñ kā
apnā baTvā ḳhālī hai
jis par ham tum laḌte the
ab vo jhūlā ḳhālī hai
terī yaad meñ bhīgā huuñ
varna chashma ḳhālī hai
nagrī nagrī kyā bhaTkūñ
ghar to merā ḳhālī hai
sab chehroñ par ik chehra
aur vo chehra ḳhālī hai
hañste hañste 'ābid' aa
dil kī kuTiyā ḳhālī hai
dil ka sahra KHali hai
aankh ka dariya KHali hai
rona-dhona bachchon ka
apna baTwa KHali hai
jis par hum tum laDte the
ab wo jhula KHali hai
teri yaad mein bhiga hun
warna chashma KHali hai
nagri nagri kya bhaTkun
ghar to mera KHali hai
sab chehron par ek chehra
aur wo chehra KHali hai
hanste hanste 'abid' aa
dil ki kuTiya KHali hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.