dil ka yun saman-e-rahat DhunDhna
dil ka yun saman-e-rahat DhunDhna
Mansooruddin Quraishi Mansoor
MORE BYMansooruddin Quraishi Mansoor
dil kā yuuñ sāmān-e-rāhat DhūñDhnā
husn kā āġhosh-e-ḳhalvat DhūñDhnā
nīm-vā maḳhmūr āñkhoñ meñ mirā
mai-kade kā bāb-e-ishrat DhūñDhnā
zindagī kī ma.arka-ārā.iyāñ
aur merā kunj-e-uzlat DhūñDhnā
qahqarī raj.at hai apne zehn kī
haal meñ maazī kī azmat DhūñDhnā
hai muhim merī bhī ye zulmāt kī
un siyah āñkhoñ meñ amrit DhūñDhnā
kyā nahīñ mauhūm ashyā kī talāsh
ziist meñ lamhāt-e-fursat DhūñDhnā
mujrimāna zehn aur nazroñ ke saath
sab kā yaañ ma.asūm sūrat DhūñDhnā
tere siine meñ talāsh-e-āgahī
barf ke tūdoñ meñ hiddat DhūñDhnā
is jahāñ kī pastiyoñ se uub kar
daar par 'mansūr' rif.at DhūñDnā
dil ka yun saman-e-rahat DhunDhna
husn ka aaghosh-e-KHalwat DhunDhna
nim-wa maKHmur aankhon mein mera
mai-kade ka bab-e-ishrat DhunDhna
zindagi ki marka-araiyan
aur mera kunj-e-uzlat DhunDhna
qahqari rajat hai apne zehn ki
haal mein mazi ki azmat DhunDhna
hai muhim meri bhi ye zulmat ki
un siyah aankhon mein amrit DhunDhna
kya nahin mauhum ashya ki talash
zist mein lamhat-e-fursat DhunDhna
mujrimana zehn aur nazron ke sath
sab ka yan masum surat DhunDhna
tere sine mein talash-e-agahi
barf ke tudon mein hiddat DhunDhna
is jahan ki pastiyon se ub kar
dar par 'mansur' rifat DhunDna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.