dil kabhi be-wafa nahin hota
dil kabhī be-vafā nahīñ hotā
vaqt kā kuchh pata nahīñ hotā
apnī apnī hai sab kī majbūrī
dil kisī kā burā nahīñ hotā
apnā apnā ḳhayāl hai varna
kuchh burā yā bhalā nahīñ hotā
ġham hī ik dost hai hamesha kā
zindagī bhar judā nahīñ hotā
ḳhuun de de ke maiñ ne sīñchā hai
varna gulshan harā nahīñ hotā
baT ke ham log rah ga.e varna
apnī duniyā meñ kyā nahīñ hotā
dil kabhi be-wafa nahin hota
waqt ka kuchh pata nahin hota
apni apni hai sab ki majburi
dil kisi ka bura nahin hota
apna apna KHayal hai warna
kuchh bura ya bhala nahin hota
gham hi ek dost hai hamesha ka
zindagi bhar juda nahin hota
KHun de de ke main ne sincha hai
warna gulshan hara nahin hota
baT ke hum log rah gae warna
apni duniya mein kya nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.