dil kahan hota hai har ek ujaDne wala
dil kahāñ hotā hai har ek ujaḌne vaalā
vo bigaḌtā hai faqat jo ho bigaḌne vaalā
chhūT de rakkhī thī maiñ ne use jo chāhe kahe
mujh ko pyārā thā bahut mujh se jhagaḌne vaalā
nauhe suntī huuñ maiñ sho.arā ke to sar dhuntī huuñ
kaash hotā koī merā bhī bichhaḌne vaalā
āñdhiyāñ haar ke jaatī haiñ kisī dam 'afshāñ
ḳhema har ek nahīñ hotā ujaḌne vaalā
dil kahan hota hai har ek ujaDne wala
wo bigaDta hai faqat jo ho bigaDne wala
chhuT de rakkhi thi main ne use jo chahe kahe
mujh ko pyara tha bahut mujh se jhagaDne wala
nauhe sunti hun main shoara ke to sar dhunti hun
kash hota koi mera bhi bichhaDne wala
aandhiyan haar ke jati hain kisi dam 'afshan
KHema har ek nahin hota ujaDne wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.