dil kahtā hai dekhūñgā tirā tīr-e-nazar toḌ
jis tarah mujhe toḌā hai us tarah jigar toḌ
qātil tujhe jab haal mire dil kā khulegā
ik tiir se pahle mire siine kī sipar toḌ
vo aa.e haiñ jī bhar ke unheñ dekh le tū bhī
ashkoñ kā zarā taar to ai dīda-e-tar toḌ
sarsabz to hone de zarā naḳhl-e-tamannā
nādāñ hai abhī ḳhaam na ulfat kā samar toḌ
bekār mujhe dekhtā hai tirchhī nazar se
tīr-e-nigah-e-yār mirā qalb-o-jigar toḌ
pahle se azaañ dene pe toḌī ga.ī minqār
dam vasl kī shab aaj to ai murġh-e-sahar toḌ
samjhūñgā 'shafīq' apnā maiñ tīr-e-nigah-e-yār
gar ek ishāre meñ mirā qalb-o-jigar toḌ
dil kahta hai dekhunga tera tir-e-nazar toD
jis tarah mujhe toDa hai us tarah jigar toD
qatil tujhe jab haal mere dil ka khulega
ek tir se pahle mere sine ki sipar toD
wo aae hain ji bhar ke unhen dekh le tu bhi
ashkon ka zara tar to ai dida-e-tar toD
sarsabz to hone de zara naKHl-e-tamanna
nadan hai abhi KHam na ulfat ka samar toD
bekar mujhe dekhta hai tirchhi nazar se
tir-e-nigah-e-yar mera qalb-o-jigar toD
pahle se azan dene pe toDi gai minqar
dam wasl ki shab aaj to ai murgh-e-sahar toD
samjhunga 'shafiq' apna main tir-e-nigah-e-yar
gar ek ishaare mein mera qalb-o-jigar toD
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.