dil kaTore par jami ye kai rah jae to phir
dil kaTore par jamī ye kaa.ī rah jaa.e to phir
ghar kā hissa mil bhī jaa.e bhaa.ī rah jaa.e to phir
ḳhvāb DhūñDeñ rāsta kaise dar aa.eñ aañkh meñ
niiñd bistar ke sirhāne aa.ī rah jaa.e to phir
kyoñ mashīnoñ kī tarah behis hue jaate haiñ ham
yuuñ hī pahnā suiT boot aur tie rah jaa.e to phir
tum kaho to zindagī ke aise ruḳh dikhlā.ūñ maiñ
tum pe pahroñ bad-havāsī chhā.ī rah jaa.e to phir
saarī duniyā saarī sāñseñ girvī rakh ke dekh lo
qarz phir bhī maañ kā paa.ī paa.ī rah jaa.e to phir
dil kaTore par jami ye kai rah jae to phir
ghar ka hissa mil bhi jae bhai rah jae to phir
KHwab DhunDen rasta kaise dar aaen aankh mein
nind bistar ke sirhane aai rah jae to phir
kyon mashinon ki tarah behis hue jate hain hum
yun hi pahna suiT boot aur tie rah jae to phir
tum kaho to zindagi ke aise ruKH dikhlaun main
tum pe pahron bad-hawasi chhai rah jae to phir
sari duniya sari sansen girwi rakh ke dekh lo
qarz phir bhi man ka pai pai rah jae to phir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.