dil ke aangan mein be-qarari hai
dil ke āñgan meñ be-qarārī hai
ye sharārat to bas tumhārī hai
tum samajhte ho buzdilī lekin
dar-haqīqat ye ḳhāksārī hai
ik nazar jab se tum ko dekhā hai
zehn-o-dil par surūr taarī hai
vaqt aa.egā ham bhī dekheñge
hijr kī raat kitnī bhārī hai
daam se us ke bachnā mushkil hai
shahr meñ vo baḌā shikārī hai
ye ujālā to kuchh nahīñ 'dānish'
chāñd meñ chāñdnī tumhārī hai
dil ke aangan mein be-qarari hai
ye shararat to bas tumhaari hai
tum samajhte ho buzdili lekin
dar-haqiqat ye KHaksari hai
ek nazar jab se tum ko dekha hai
zehn-o-dil par surur tari hai
waqt aaega hum bhi dekhenge
hijr ki raat kitni bhaari hai
dam se us ke bachna mushkil hai
shahr mein wo baDa shikari hai
ye ujala to kuchh nahin 'danish'
chand mein chandni tumhaari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.