dil ke aangan mein teri yaad ka tara chamka
dil ke āñgan meñ tirī yaad kā taarā chamkā
merī be-nūr sī āñkhoñ meñ ujālā chamkā
shaam ke saath ye dil Duub rahā thā lekin
yak-ba-yak jhiil ke us paar kinārā chamkā
har galī shahr kī phūloñ se sajī mere liye
har darīche meñ koī chāñd sā chehra chamkā
ġham ke parde meñ ḳhushī bhī to chhipī hotī hai
ḳhush huā maiñ jo mire paañv meñ chhālā chamkā
kitne tāroñ ne lahū nazr kiyā hai apnā
tab kahīñ raat ke siine se saverā chamkā
us imārat kī chamak yuuñ rahī do-pal 'anzar'
dhuup meñ jaise koī barf kā TukḌā chamkā
dil ke aangan mein teri yaad ka tara chamka
meri be-nur si aankhon mein ujala chamka
sham ke sath ye dil Dub raha tha lekin
yak-ba-yak jhil ke us par kinara chamka
har gali shahr ki phulon se saji mere liye
har dariche mein koi chand sa chehra chamka
gham ke parde mein KHushi bhi to chhipi hoti hai
KHush hua main jo mere panw mein chhaala chamka
kitne taron ne lahu nazr kiya hai apna
tab kahin raat ke sine se sawera chamka
us imarat ki chamak yun rahi do-pal 'anzar'
dhup mein jaise koi barf ka TukDa chamka
- Book : Pehchan (Pg. 29)
- Author : Ateeq Anzar
- Publication : Nai Awaz Jamia Nagar New Delhi (1994)
- Edition : 1994
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.