dil ke andar chalo to achchha hai
dil ke andar chalo to achchhā hai
tum mire ghar chalo to achchhā hai
ek arse se qaid ho ghar meñ
aaj bāhar chalo to achchhā hai
dar-ba-dar kab talak phiroge tum
aao ab ghar chalo to achchhā hai
āsmānoñ pe kyā chaloge tum
is zamīñ par chalo to achchhā hai
kah rahā hai sulagtā sūraj 'nūr'
chhātā le kar chalo to achchhā hai
dil ke andar chalo to achchha hai
tum mere ghar chalo to achchha hai
ek arse se qaid ho ghar mein
aaj bahar chalo to achchha hai
dar-ba-dar kab talak phiroge tum
aao ab ghar chalo to achchha hai
aasmanon pe kya chaloge tum
is zamin par chalo to achchha hai
kah raha hai sulagta suraj 'nur'
chhata le kar chalo to achchha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.