dil ke arman dil ko chhoD gae
dil ke armān dil ko chhoḌ ga.e
aah muñh is jahāñ se moḌ ga.e
vo umañgeñ nahīñ tabī'at meñ
kyā kaheñ jī ko sadme toḌ ga.e
bāda-e-bās ke musalsal daur
sāġhar-e-ārzū ko phoḌ ga.e
miT ga.e vo nazāra-hā-e-jamīl
lekin āñkhoñ meñ 'aks chhoḌ ga.e
ham the 'ishrat kī gahrī nīñdeñ thiiñ
aa.e ālām aur jhiñjhoḌ ga.e
dil ke arman dil ko chhoD gae
aah munh is jahan se moD gae
wo umangen nahin tabi'at mein
kya kahen ji ko sadme toD gae
baada-e-bas ke musalsal daur
saghar-e-arzu ko phoD gae
miT gae wo nazara-ha-e-jamil
lekin aankhon mein 'aks chhoD gae
hum the 'ishrat ki gahri ninden thin
aae aalam aur jhinjhoD gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.