dil ke bahlane ka saman na samjha jae
dil ke bahlāne kā sāmān na samjhā jaa.e
mujh ko ab itnā bhī āsān na samjhā jaa.e
maiñ bhī duniyā kī tarah jiine kā haq māñgtī huuñ
is ko ġhaddārī kā elaan na samjhā jaa.e
ab to beTe bhī chale jaate haiñ ho kar ruḳhsat
sirf beTī ko hī mehmān na samjhā jaa.e
merī pahchān ko kaafī hai agar merī shanāḳht
mujh ko phir kyuuñ mirī pahchān na samjhā jaa.e
maiñ ne ye kab kahā 'rūhī' ki mire jīvan meñ
mere sā.īñ ko mirī jaan na samjhā jaa.e
dil ke bahlane ka saman na samjha jae
mujh ko ab itna bhi aasan na samjha jae
main bhi duniya ki tarah jine ka haq mangti hun
is ko ghaddari ka elan na samjha jae
ab to beTe bhi chale jate hain ho kar ruKHsat
sirf beTi ko hi mehman na samjha jae
meri pahchan ko kafi hai agar meri shanaKHt
mujh ko phir kyun meri pahchan na samjha jae
main ne ye kab kaha 'ruhi' ki mere jiwan mein
mere sain ko meri jaan na samjha jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.