dil ke bhed ko pae kaun
dil ke bhed ko paa.e kaun
ye patthar pighlā.e kaun
kaun lagā.e ḳhud ko aag
dīpak raag sunā.e kaun
ujḌī bastī ke raste
juz aaseb basā.e kaun
jin kā īñdhan dil kā ḳhuuñ
aise diip jalā.e kaun
ye manzil āsān nahīñ
apnī raah banā.e kaun
kuchh to hai is vahshat meñ
varna patthar khaa.e kaun
pāgal hai dil tere liye
pāgal ko samjhā.e kaun
aslī sūrat sachchā aks
dekhe kaun dikhā.e kaun
dil ke bhed ko pae kaun
ye patthar pighlae kaun
kaun lagae KHud ko aag
dipak rag sunae kaun
ujDi basti ke raste
juz aaseb basae kaun
jin ka indhan dil ka KHun
aise dip jalae kaun
ye manzil aasan nahin
apni rah banae kaun
kuchh to hai is wahshat mein
warna patthar khae kaun
pagal hai dil tere liye
pagal ko samjhae kaun
asli surat sachcha aks
dekhe kaun dikhae kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.