dil ke bujhte hue sholon ko hawa deta hai
dil ke bujhte hue sho'loñ ko havā detā hai
kaun maazī ke darīchoñ se sadā detā hai
vo mohabbat kā mirī ḳhuub sila detā hai
dost ban kar mujhe har zaḳhm nayā detā hai
zulm zālim kā abhī aur abhī baaqī hai
merā dushman mujhe jiine kī du'ā detā hai
jām-o-mīnā kī tamanna nahīñ mujh ko yaaro
merā saaqī mujhe nazroñ se pilā detā hai
'dard' hargiz kabhī auqāt na bhūlo apnī
vaqt har shaḳhs ko nazroñ se girā detā hai
dil ke bujhte hue sho'lon ko hawa deta hai
kaun mazi ke darichon se sada deta hai
wo mohabbat ka meri KHub sila deta hai
dost ban kar mujhe har zaKHm naya deta hai
zulm zalim ka abhi aur abhi baqi hai
mera dushman mujhe jine ki du'a deta hai
jam-o-mina ki tamanna nahin mujh ko yaro
mera saqi mujhe nazron se pila deta hai
'dard' hargiz kabhi auqat na bhulo apni
waqt har shaKHs ko nazron se gira deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.