dil ke dard ke kam hone ka tanha kuchh saman hua
dil ke dard ke kam hone ka tanha kuchh saman hua
Raziya Faseeh Ahmad
MORE BYRaziya Faseeh Ahmad
dil ke dard ke kam hone kā tanhā kuchh sāmān huā
ham bhī ab kai din jī leñge is kā bhī imkān huā
ek diye kī lau ne saarā shahr jalā kar ḳhaak kiyā
ek havā kā jhoñkā ban kar āñdhī aur tūfān huā
ārzūoñ kī nīchī saañs ne us dar par dastak dī
aur junūñ kā ik ik lamha mere ghar mehmān huā
vaqt kā kaTnā us se pūchho hijr meñ jis kī guzrī ho
ek ik lamha ek sadī thā kab ham par āsān huā
koī kisī kā miit nahīñ hai duniyā kahtī aa.ī hai
ham ne jis ko apnā jaanā vaqt pe vo anjān huā
'ishq uḌānoñ kā dushman hai kyā us ko mā'lūm na thā
dil kā panchhī qaid meñ aa kar kyuuñ itnā hairān huā
tanhā un kī gul-afshānī kuchh na pūchho kaisī hai
jab bhī hazrat-e-vā'iz bole sab kā jī halkān huā
dil ke dard ke kam hone ka tanha kuchh saman hua
hum bhi ab kai din ji lenge is ka bhi imkan hua
ek diye ki lau ne sara shahr jala kar KHak kiya
ek hawa ka jhonka ban kar aandhi aur tufan hua
aarzuon ki nichi sans ne us dar par dastak di
aur junun ka ek ek lamha mere ghar mehman hua
waqt ka kaTna us se puchho hijr mein jis ki guzri ho
ek ek lamha ek sadi tha kab hum par aasan hua
koi kisi ka mit nahin hai duniya kahti aai hai
hum ne jis ko apna jaana waqt pe wo anjaan hua
'ishq uDanon ka dushman hai kya us ko ma'lum na tha
dil ka panchhi qaid mein aa kar kyun itna hairan hua
tanha un ki gul-afshani kuchh na puchho kaisi hai
jab bhi hazrat-e-wa'iz bole sab ka ji halkan hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.