dil ke darwaze pe dastak ki sada koi nahin
dil ke darvāze pe dastak kī sadā koī nahīñ
kaun sī manzil hai ye āvāz-e-pā koī nahīñ
majlis-e-ālām se kis tarah nikle zindagī
ye vo zindāñ hai ki jis kā rāsta koī nahīñ
karbalā to aaj bhī miltā hai har har gaam par
shahr meñ lekin husain-e-bā-vafā koī nahīñ
kuchh samajh kar hī kiyā hai maiñ ne us kā intiḳhāb
kyā huā us raah meñ gar naqsh-e-pā koī nahīñ
maiñ jo uTThā to uThā saarā zamāna mere saath
tum jo uTThe to uThā dil ke sivā koī nahīñ
ai shab-e-furqat kahāñ bhaTkegī chal mere hī ghar
ye vo bastī hai jahāñ raushan diyā koī nahīñ
ātish-e-ehsās meñ jalte raho 'shiblī' sadā
shā'irī se baḌh ke duniyā meñ sazā koī nahīñ
dil ke darwaze pe dastak ki sada koi nahin
kaun si manzil hai ye aawaz-e-pa koi nahin
majlis-e-alam se kis tarah nikle zindagi
ye wo zindan hai ki jis ka rasta koi nahin
karbala to aaj bhi milta hai har har gam par
shahr mein lekin husain-e-ba-wafa koi nahin
kuchh samajh kar hi kiya hai main ne us ka intiKHab
kya hua us rah mein gar naqsh-e-pa koi nahin
main jo uTTha to uTha sara zamana mere sath
tum jo uTThe to uTha dil ke siwa koi nahin
ai shab-e-furqat kahan bhaTkegi chal mere hi ghar
ye wo basti hai jahan raushan diya koi nahin
aatish-e-ehsas mein jalte raho 'shibli' sada
sha'iri se baDh ke duniya mein saza koi nahin
- Book : Be-Chehrah Lamhe (Pg. 41)
- Author : Alqama Shibli
- Publication : Shaharyaar Brothers Publications (1975)
- Edition : 1975
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.