dil ke ghaw bhi kaam aaen mujhe
dil ke ghaav bhī kaam aa.eñ mujhe
dekh kar log muskurā.eñ mujhe
vo hī duniyā vahī purānā-pan
yā-ḳhudā kuchh nayā dikhā.eñ mujhe
lauT ā.ūñgā sab bhulā dūñgā
sarsarī sā agar bulā.eñ mujhe
bā-vazū bazm-e-yār meñ jā.ūñ
āyat-e-vasl gar sunā.eñ mujhe
baḌī mushkil se aa ke baiThā huuñ
dard uThte haiñ mat uThā.eñ mujhe
aañkh rone kā māñgtī hai ḳhirāj
ab vo aa kar gale lagā.eñ mujhe
dil ke ghaw bhi kaam aaen mujhe
dekh kar log muskuraen mujhe
wo hi duniya wahi purana-pan
ya-KHuda kuchh naya dikhaen mujhe
lauT aaunga sab bhula dunga
sarsari sa agar bulaen mujhe
ba-wazu bazm-e-yar mein jaun
aayat-e-wasl gar sunaen mujhe
baDi mushkil se aa ke baiTha hun
dard uThte hain mat uThaen mujhe
aankh rone ka mangti hai KHiraj
ab wo aa kar gale lagaen mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.