dil ke har dagh ko sine se lagae rakhiye
dil ke har daaġh ko siine se lagā.e rakhiye
ḳhāna-e-dil meñ ye fānūs jalā.e rakhiye
zindagī vaqt ke sāñche meñ Dhalī jaatī hai
dīda-o-dil ko qarīne se sajā.e rakhiye
shām-e-ġham kā jo fasāna thā vo ab ḳhatm huā
sub.h-e-ummīd kā māhaul banā.e rakhiye
apne iḳhlās-o-mohabbat ke haiñ qaa.il sab log
zindagānī kā yahī rañg jamā.e rakhiye
maiñ abhī chupke se pī aatā huuñ maiḳhāne se
zāhidoñ ko zarā bātoñ meñ lagā.e rakhiye
rāz-dāñ apnā farishta nahīñ insāñ hī to hai
dil ke har raaz ko dil meñ hī chhupā.e rakhiye
ye jo hai fursat-e-imroz ġhanīmat hai 'shahīd'
aaj ke kaam ko kal par na uThā.e rakhiye
dil ke har dagh ko sine se lagae rakhiye
KHana-e-dil mein ye fanus jalae rakhiye
zindagi waqt ke sanche mein Dhali jati hai
dida-o-dil ko qarine se sajae rakhiye
sham-e-gham ka jo fasana tha wo ab KHatm hua
subh-e-ummid ka mahaul banae rakhiye
apne iKHlas-o-mohabbat ke hain qail sab log
zindagani ka yahi rang jamae rakhiye
main abhi chupke se pi aata hun maiKHane se
zahidon ko zara baaton mein lagae rakhiye
raaz-dan apna farishta nahin insan hi to hai
dil ke har raaz ko dil mein hi chhupae rakhiye
ye jo hai fursat-e-imroz ghanimat hai 'shahid'
aaj ke kaam ko kal par na uThae rakhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.