dil ke har zaKHm-e-tamanna ki qaba jalti hai
dil ke har zaḳhm-e-tamannā kī qabā jaltī hai
ġham kā vo josh-e-numū hai ki fazā jaltī hai
raushnī hai mirī rāhoñ meñ usī mash.al se
dast-e-nāzuk pe jo tahrīr-e-hinā chaltī hai
is taraf merā ġham-e-dil hai sulagtā huā ġham
us taraf us ke tabassum kī ridā jaltī hai
merī aahoñ ke tarannum meñ tarāvat hī sahī
saañs letā huuñ to ai dost fazā jaltī hai
us ne kis karb-e-tamannā se pukārā hai mujhe
dil ne mahsūs kiyā hai ki sadā jaltī hai
ye mirī tīra-nasībī to nahīñ hai 'mutrib'
haa.e kis aag meñ vo sham-e-hayā jaltī hai
dil ke har zaKHm-e-tamanna ki qaba jalti hai
gham ka wo josh-e-numu hai ki faza jalti hai
raushni hai meri rahon mein usi mashal se
dast-e-nazuk pe jo tahrir-e-hina chalti hai
is taraf mera gham-e-dil hai sulagta hua gham
us taraf us ke tabassum ki rida jalti hai
meri aahon ke tarannum mein tarawat hi sahi
sans leta hun to ai dost faza jalti hai
us ne kis karb-e-tamanna se pukara hai mujhe
dil ne mahsus kiya hai ki sada jalti hai
ye meri tira-nasibi to nahin hai 'mutrib'
hae kis aag mein wo sham-e-haya jalti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.