dil ke har zaKHm ko honTon pe sajaya jae
dil ke har zaḳhm ko hoñToñ pe sajāyā jaa.e
kyā zarūrī hai ki haal apnā sunāyā jaa.e
āñsuoñ meñ tirī sūrat ko sajāyā jaa.e
bahte paanī pe bhī ik naqsh banāyā jaa.e
ab mujhe dekh ke kahte haiñ ye ā.īna-mizāj
ek shaḳhs aur thā shāyad kahīñ paayā jaa.e
kis ke bas meñ hai mirī tarh salīboñ kā safar
apne har ḳhvāb ko suulī pe chaḌhāyā jaa.e
aaj kī raat mulāqāt kā jaadū na sahī
aaj in āñkhoñ meñ nīñdoñ ko jagāyā jaa.e
dil kī aag aur baḌhā dete haiñ bahte aañsū
kyā kare vo jise paanī se jalāyā jaa.e
jurm sā jurm hai merā ki huuñ ik naqsh-e-vafā
dosto mujh ko abhī aur miTāyā jaa.e
us ke hoñToñ pe mire she'r ta'ajjub hai mujhe
mere afkār ko phūloñ meñ basāyā jaa.e
'badr' achchhā hai numā.ish na ho dāġh-e-dil kī
apne ghar meñ hī charāġh apnā jalāyā jaa.e
dil ke har zaKHm ko honTon pe sajaya jae
kya zaruri hai ki haal apna sunaya jae
aansuon mein teri surat ko sajaya jae
bahte pani pe bhi ek naqsh banaya jae
ab mujhe dekh ke kahte hain ye aaina-mizaj
ek shaKHs aur tha shayad kahin paya jae
kis ke bas mein hai meri tarh salibon ka safar
apne har KHwab ko suli pe chaDhaya jae
aaj ki raat mulaqat ka jadu na sahi
aaj in aankhon mein nindon ko jagaya jae
dil ki aag aur baDha dete hain bahte aansu
kya kare wo jise pani se jalaya jae
jurm sa jurm hai mera ki hun ek naqsh-e-wafa
dosto mujh ko abhi aur miTaya jae
us ke honTon pe mere she'r ta'ajjub hai mujhe
mere afkar ko phulon mein basaya jae
'badr' achchha hai numaish na ho dagh-e-dil ki
apne ghar mein hi charagh apna jalaya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.