dil ke har zarre mein paida qais ki duniya karen
dil ke har zarre meñ paidā qais kī duniyā kareñ
aao dāmān-e-nazar ko aaj ham lailā kareñ
terī shoḳhī aur mere dil kī betābi ko dekh
kar diyā rāz-e-junūñ ifshā batā ham kyā kareñ
aañkh meñ tasvīr terī dil meñ terī yaad hai
aur ham duniyā meñ rah kar tū hī kah de kyā kareñ
phir mire dil meñ chaleñ aa.eñ vo be-parda kabhī
phir mire jazbāt meñ vo hashr sā barpā kareñ
hai jo dāmān-e-mizha meñ ek qatra ashk kā
jī meñ aatā hai ki is qatre ko ab dariyā kareñ
sard paḌ jaa.e na 'fāzil' garmī-e-bāzār-e-husn
aao chaḌh kar daar par phir ik hashr sā barpā kareñ
dil ke har zarre mein paida qais ki duniya karen
aao daman-e-nazar ko aaj hum laila karen
teri shoKHi aur mere dil ki betabi ko dekh
kar diya raaz-e-junun ifsha bata hum kya karen
aankh mein taswir teri dil mein teri yaad hai
aur hum duniya mein rah kar tu hi kah de kya karen
phir mere dil mein chalen aaen wo be-parda kabhi
phir mere jazbaat mein wo hashr sa barpa karen
hai jo daman-e-mizha mein ek qatra ashk ka
ji mein aata hai ki is qatre ko ab dariya karen
sard paD jae na 'fazil' garmi-e-bazar-e-husn
aao chaDh kar dar par phir ek hashr sa barpa karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.