dil ke jalte hue zaKHmon ka mudawa ban kar
dil ke jalte hue zaḳhmoñ kā mudāvā ban kar
phuul mahke haiñ tire haath kā saaya ban kar
maiñ tire jism ko chhūte hue yuuñ Dartā huuñ
tishnagī aur baḌhā degā tū dariyā ban kar
kyā Darā.eñge muqaddar ke añdhere tujh ko
maiñ chamaktā huuñ tire haath pe rekhā ban kar
vaqt hai barf kī dīvār to kaise pighle
ḳhuuñ bhī āñkhoñ se Tapaktā nahīñ sho'la ban kar
haath aayā nahīñ kuchh sañg-e-malāmat ke sivā
shahr meñ dekh liyā ham ne tamāshā ban kar
hādsa koī ho bujhtī nahīñ āñkhoñ kī chamak
jism meñ phail gayā hai vo ujālā ban kar
aa.ine saaf the kis kis ko vahāñ jhuTlātā
har siyāhī nazar aa.ī mirā chehra ban kar
tishnagī laakh sahī ghar se na niklo 'rāshid'
raat siine meñ utar jā.egī sahrā ban kar
dil ke jalte hue zaKHmon ka mudawa ban kar
phul mahke hain tere hath ka saya ban kar
main tere jism ko chhute hue yun Darta hun
tishnagi aur baDha dega tu dariya ban kar
kya Daraenge muqaddar ke andhere tujh ko
main chamakta hun tere hath pe rekha ban kar
waqt hai barf ki diwar to kaise pighle
KHun bhi aankhon se Tapakta nahin sho'la ban kar
hath aaya nahin kuchh sang-e-malamat ke siwa
shahr mein dekh liya hum ne tamasha ban kar
hadsa koi ho bujhti nahin aankhon ki chamak
jism mein phail gaya hai wo ujala ban kar
aaine saf the kis kis ko wahan jhuTlata
har siyahi nazar aai mera chehra ban kar
tishnagi lakh sahi ghar se na niklo 'rashid'
raat sine mein utar jaegi sahra ban kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.