dil ke jazbaat ko sine mein chhupana mushkil
dil ke jazbāt ko siine meñ chhupānā mushkil
apnā ghar apne hī hāthoñ hai jalānā mushkil
kaifiyat dil kī to chehre se ayaañ hotī hai
ishq aur mushk ko jaise ho chhupānā mushkil
mushkileñ aaj bhī kuchh kam nahīñ insāñ ke liye
aane vaalā hai magar aur zamānā mushkil
jis ko allāh ne baḳhshī hai ināyat apnī
us ko duniyā kī nigāhoñ meñ girānā mushkil
ek jā qātil-o-munsif ko hai dekhā milte
ab to insāf adālat se hai paanā mushkil
peT kī aag to bujh saktī hai khāne se 'samar'
ishq kī aag ko phir bhī hai bujhānā mushkil
dil ke jazbaat ko sine mein chhupana mushkil
apna ghar apne hi hathon hai jalana mushkil
kaifiyat dil ki to chehre se ayan hoti hai
ishq aur mushk ko jaise ho chhupana mushkil
mushkilen aaj bhi kuchh kam nahin insan ke liye
aane wala hai magar aur zamana mushkil
jis ko allah ne baKHshi hai inayat apni
us ko duniya ki nigahon mein girana mushkil
ek ja qatil-o-munsif ko hai dekha milte
ab to insaf adalat se hai pana mushkil
peT ki aag to bujh sakti hai khane se 'samar'
ishq ki aag ko phir bhi hai bujhana mushkil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.