dil ke jazbon ka lahu qatl-e-ana Thik nahin
dil ke jazbon ka lahu qatl-e-ana Thik nahin
Mehdi Baqar Khan Meraj
MORE BYMehdi Baqar Khan Meraj
dil ke jazboñ kā lahū qatl-e-anā Thiik nahīñ
us kī har baat pe taslīm-o-razā Thiik nahīñ
saañs meñ jalte makānoñ kā dhuāñ aatā hai
ai mire shahr tirī āb-o-havā Thiik nahīñ
gar kisī lau se fasādoñ kā dhuāñ uThtā ho
raushnī-baḳhsh sahī aisā diyā Thiik nahīñ
lazzat-e-dard se jab milne lage rizq-e-hayāt
tab koī chāragarī fikr-e-davā Thiik nahīñ
dukh sunā kar ke bhī kyā pāoge āḳhir 'merāj'
sabhī apne haiñ aur apnoñ se gila Thiik nahīñ
dil ke jazbon ka lahu qatl-e-ana Thik nahin
us ki har baat pe taslim-o-raza Thik nahin
sans mein jalte makanon ka dhuan aata hai
ai mere shahr teri aab-o-hawa Thik nahin
gar kisi lau se fasadon ka dhuan uThta ho
raushni-baKHsh sahi aisa diya Thik nahin
lazzat-e-dard se jab milne lage rizq-e-hayat
tab koi chaaragari fikr-e-dawa Thik nahin
dukh suna kar ke bhi kya paoge aaKHir 'meraj'
sabhi apne hain aur apnon se gila Thik nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.