dil ke kahne mein na diwane kahin aa jaana
dil ke kahne mein na diwane kahin aa jaana
Syed Shafaq Shah Chishti
MORE BYSyed Shafaq Shah Chishti
dil ke kahne meñ na dīvāne kahīñ aa jaanā
qadr kho detā hai har roz kā ānā-jānā
bharī mahfil meñ mujhe luuT liyā ho jaise
mujh pe paḌte hī nazar haa.e vo sharmā jaanā
uf tirī zulf bikharne kā vo qātil manzar
ruḳh pe lahrānā vo lahrāte hī bal khā jaanā
ab to le de ke tirī yaad kā hai ek hī kaam
bār-bār aanā aur aa kar mujhe taḌpā jaanā
shukr hai ḳhair ye manzil to mayassar aa.ī
apnī hastī ko tire husn kā pardā jaanā
ḳhaak hī kyoñ hameñ dar-dar kī uḌānā paḌtī
ye baḌī bhuul huī jo tujhe apnā jaanā
ham tirī sāda-mizājī hī kaheñge is ko
aap hī aap vo kuchh soch ke ghabrā jaanā
vo añdheroñ meñ bhaTakne hī lagā kyoñ jis ne
mish.al-e-rāh tirā naqsh-e-kaf-e-pā jaanā
ai 'shafaq' pūchho na kyā dil pe mire biit ga.ī
duur hī se vo mujhe dekh ke katrā jaanā
dil ke kahne mein na diwane kahin aa jaana
qadr kho deta hai har roz ka aana-jaana
bhari mahfil mein mujhe luT liya ho jaise
mujh pe paDte hi nazar hae wo sharma jaana
uf teri zulf bikharne ka wo qatil manzar
ruKH pe lahrana wo lahraate hi bal kha jaana
ab to le de ke teri yaad ka hai ek hi kaam
bar-bar aana aur aa kar mujhe taDpa jaana
shukr hai KHair ye manzil to mayassar aai
apni hasti ko tere husn ka parda jaana
KHak hi kyon hamein dar-dar ki uDana paDti
ye baDi bhul hui jo tujhe apna jaana
hum teri sada-mizaji hi kahenge is ko
aap hi aap wo kuchh soch ke ghabra jaana
wo andheron mein bhaTakne hi laga kyon jis ne
mishal-e-rah tera naqsh-e-kaf-e-pa jaana
ai 'shafaq' puchho na kya dil pe mere bit gai
dur hi se wo mujhe dekh ke katra jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.