dil ke KHane mein paDi hain teri yaaden tah-ba-tah
dil ke ḳhāne meñ paḌī haiñ terī yādeñ tah-ba-tah
vaqt kī banjar zamīñ par haiñ ye qabreñ tah-ba-tah
maut manzil hai so maiñ raste meñ paḌhne ke liye
rakh rahā huuñ zindagī kī kuchh kitābeñ tah-ba-tah
is tarah tartīb se rakhnā mujhe mere rafīq
jis tarah rakkhī haiñ rab ne ye zamīneñ tah-ba-tah
jin meñ phañs kar phaḌphaḌātā hī rahūñ maiñ raat bhar
ek jaale kī tarah hai terī socheñ tah-ba-tah
is liye manzar mujhe ab dikh rahe haiñ kuchh ke kuchh
mere chehre par lagī haiñ kor āñkheñ tah-ba-tah
chīda chīda hai ġhazal ke dasht meñ bāteñ mirī
qaid nazmoñ kī tarah haiñ terī bāteñ tah-ba-tah
ab mujhe DhūñDegā hākim shahr kā 'yāsir-gumān'
maiñ chhupā.e phir rahā huuñ saarī ḳhabreñ tah-ba-tah
dil ke KHane mein paDi hain teri yaaden tah-ba-tah
waqt ki banjar zamin par hain ye qabren tah-ba-tah
maut manzil hai so main raste mein paDhne ke liye
rakh raha hun zindagi ki kuchh kitaben tah-ba-tah
is tarah tartib se rakhna mujhe mere rafiq
jis tarah rakkhi hain rab ne ye zaminen tah-ba-tah
jin mein phans kar phaDphaData hi rahun main raat bhar
ek jale ki tarah hai teri sochen tah-ba-tah
is liye manzar mujhe ab dikh rahe hain kuchh ke kuchh
mere chehre par lagi hain kor aankhen tah-ba-tah
chida chida hai ghazal ke dasht mein baaten meri
qaid nazmon ki tarah hain teri baaten tah-ba-tah
ab mujhe DhunDega hakim shahr ka 'yasir-guman'
main chhupae phir raha hun sari KHabren tah-ba-tah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.