dil ke maron se dil-lagi chahe
dil ke māroñ se dil-lagī chāhe
maut qistoñ meñ zindagī chāhe
maiñ to chāhūñ use qayāmat tak
vo mulāqāt sarsarī chāhe
shahr kā shahr mere qadmoñ meñ
dil magar yaar kī galī chāhe
sab kī marzī se jī ke dekh liyā
ab vahī kar jo terā jī chāhe
maiñ samundar kā kyā karūñ 'fārūq'
pyaas chaḌhtī huī nadī chāhe
dil ke maron se dil-lagi chahe
maut qiston mein zindagi chahe
main to chahun use qayamat tak
wo mulaqat sarsari chahe
shahr ka shahr mere qadmon mein
dil magar yar ki gali chahe
sab ki marzi se ji ke dekh liya
ab wahi kar jo tera ji chahe
main samundar ka kya karun 'faruq'
pyas chaDhti hui nadi chahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.