dil ke mandir mein teri murat hai
dil ke mandir meñ terī mūrat hai
ab ḳhudāoñ kī kyā zarūrat hai
gar zarā sā sukūñ mayassar ho
zindagī kitnī ḳhūbsūrat hai
na kisī se koī tavaqqo hai
na kisī se koī kudūrat hai
aaj duniyā ne ham ko chhoḌ diyā
aaj terī baḌī zarūrat hai
dekhne meñ hazār chehre haiñ
aur kahne ko ek sūrat hai
'shaukat' ab sher kī huī takmīl
mere dīvān kī mahūrat hai
dil ke mandir mein teri murat hai
ab KHudaon ki kya zarurat hai
gar zara sa sukun mayassar ho
zindagi kitni KHubsurat hai
na kisi se koi tawaqqo hai
na kisi se koi kudurat hai
aaj duniya ne hum ko chhoD diya
aaj teri baDi zarurat hai
dekhne mein hazar chehre hain
aur kahne ko ek surat hai
'shaukat' ab sher ki hui takmil
mere diwan ki mahurat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.