dil ke mariz zehn ke bimar kyon hue
dil ke marīz zehn ke bīmār kyoñ hue
zulfoñ se khelte the sar-e-dār kyoñ hue
chilman meñ iztirāb kī ik kaifiyat thī kyoñ
jalve nazar ke saath gunahgār kyoñ hue
dīvāna apne aap se kartā thā kuchh kalām
lekin ye zard aap ke ruḳhsār kyoñ hue
angāre jis chaman meñ khile the bajā.e phuul
us kī ḳhizāñ ke aap azādār kyoñ hue
bāzār meñ to shahd kī botal garāñ nahīñ
talḳhī hai nāgavār to mai-ḳhvār kyoñ hue
nāzuk bahut the paañv to sahrā-e-ishq meñ
kuchh duur saath chal ke gunahgār kyoñ hue
bal khā rahe haiñ sub.ha-o-zunnār is liye
'ehsān' asīr-e-gesū-e-ḳham-dār kyoñ hue
dil ke mariz zehn ke bimar kyon hue
zulfon se khelte the sar-e-dar kyon hue
chilman mein iztirab ki ek kaifiyat thi kyon
jalwe nazar ke sath gunahgar kyon hue
diwana apne aap se karta tha kuchh kalam
lekin ye zard aap ke ruKHsar kyon hue
angare jis chaman mein khile the bajae phul
us ki KHizan ke aap azadar kyon hue
bazar mein to shahd ki botal garan nahin
talKHi hai nagawar to mai-KHwar kyon hue
nazuk bahut the panw to sahra-e-ishq mein
kuchh dur sath chal ke gunahgar kyon hue
bal kha rahe hain subha-o-zunnar is liye
'ehsan' asir-e-gesu-e-KHam-dar kyon hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.