dil ke nazdik se guzro to bata kar jaana
dil ke nazdīk se guzro to batā kar jaanā
ye bhī chāhat kī hai ik rasm nibhā kar jaanā
tum mujhe chhoḌ ke jaate ho to jaao lekin
apne bheje hue ḳhat saare jalā kar jaanā
kyā batā.ūñgā judā.ī kā sabab logoñ ko
jo haqīqat hai zamāne ko batā kar jaanā
taaki tanhā.ī se ghabrā.ūñ to bāteñ kar luuñ
apnī tasvīr ko kamre meñ lagā kar jaanā
tum zamāne kā bhalā karne chale ho dekho
koī 'santosh' ke haq meñ bhī duā kar jaanā
dil ke nazdik se guzro to bata kar jaana
ye bhi chahat ki hai ek rasm nibha kar jaana
tum mujhe chhoD ke jate ho to jao lekin
apne bheje hue KHat sare jala kar jaana
kya bataunga judai ka sabab logon ko
jo haqiqat hai zamane ko bata kar jaana
taki tanhai se ghabraun to baaten kar lun
apni taswir ko kamre mein laga kar jaana
tum zamane ka bhala karne chale ho dekho
koi 'santosh' ke haq mein bhi dua kar jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.