dil ke panne se nahin miTti ibarat unki
dil ke panne se nahīñ miTtī ibārat un kī
ab bhī qaa.em hai mire dil meñ mohabbat un kī
log karte haiñ añdheroñ meñ tijārat dekho
sāmne aatī nahīñ ab to haqīqat un kī
phuul itrāte haiñ Daalī pe zarā dekho to
ḳhuub bhātī hai mire dil ko ziyārat un kī
yaad bhī zehn se phir duur bhalā ho kaise
paas mujh ko jo bulā letī hai qurbat un kī
jab se chehre pe paḌe vaqt ke thappaḌ 'anvar'
badlī badlī sī nazar aatī hai sūrat un kī
dil ke panne se nahin miTti ibarat un ki
ab bhi qaem hai mere dil mein mohabbat un ki
log karte hain andheron mein tijarat dekho
samne aati nahin ab to haqiqat un ki
phul itraate hain Dali pe zara dekho to
KHub bhati hai mere dil ko ziyarat un ki
yaad bhi zehn se phir dur bhala ho kaise
pas mujh ko jo bula leti hai qurbat un ki
jab se chehre pe paDe waqt ke thappaD 'anwar'
badli badli si nazar aati hai surat un ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.